Types Of Life Insurance In Hindi- Life Insurance Ke Prakar.
Life Insurance 4 Type Ke Hote Hai.
- Term Insurance
- Endowment Plan
- Ulip Unit Linked Insurance Plan
- Money Back Policy
To Chaliye Me Apko In Sabke Ke Bare Step By Step Batata Hu.
Type 1 :- Term Insurance
Term Insurance Plan Ak Basic Jivan Bima Plan Hai Jo Sab Policy Se Aalg Hota Hai. Is Plan Me Aesa Hai Ki Jis Bhi Vyakti Ne Ye Plan Hai Usko Uski Death Ke Samay Hi Paisa Diya Jata Hai. Agar Is Plan Me Vyakti ki Death Nahi Hoti Ya Yu Kahe Ki Jivit Rahta Hai To Yeh Plan Me Usko Kuch Nai Milta. Us Bima Holder Ko Koi Bhugtan Nahi Kiya Jata.
Type 2 :- Endowment Plan
Endowment Plan Vo Term Insurance Plan se thoda different hota hai kyonki isme maturity ka benefit hoti hai . iska matlb yah hai ki Policy ka time khatm hone par jab Policy matur hoti hai to bima holder ko bima rashi ke sath bonus jod kar diya jata hai. Endowment Plan me maturity jyada milti hai. Endowment Plan me asa hota hai ki isme jo bhi investment hota hai usko share market me lagaya jata hai. jab koi company profit karti hai tab bima holder ko bonus bhi diya jata hai.is plan me Term Insurance plan se jyada premium ata hai.
Type 3 :- Ulip Unit Linked Insurance Plan
Ulip Unit Linked Insurance Plan Bima Or Nivesh dono ko pura karta hai. Ulip Unit Linked Insurance Plan me Ulip ka Pura Nivesh Kiya JAt hai. Is Plan Me Jo Bhi Bima Holder Hai Uska Charge KAt Kar Pura Investment kiya Jata hai. Ulip Unit Linked Insurance Plan Investment ke liye bahot hi badhiya mana jata hai kyonki is plan me Bima Holder Jaha Chahe Vaha Investment Krva SAkta hAi.
Type 4 :- Money Back Policy
Money Back Policy vatv me Endowment Planka hi ak type hai. ye plan sabse best plan hai kyonki Money Back Policy ak guaranteed Plan Hai. is plan me jo bhi bima holder paisa invest karta hai usako kitna profit hoga uski jankari advance me mil sakti hai. main bat ye hai ki is plan me risk bhi kam rahta hai or policy me premium bhi bahot kam ata hai.
No comments:
Post a Comment